Aastana Hai Yeh Kis Shah-E-Zeshan Ka Lyrics & Tabs by Nusrat Fateh Ali Khan

Aastana Hai Yeh Kis Shah-E-Zeshan Ka

guitar chords lyrics

Nusrat Fateh Ali Khan

Album : Marhaba Marhaba, Vol. 11 qawwali PlayStop

Allah ne kiya baargaah e Gaus jalee hai
gardan ko jhukkaay hue aik aik wali hai
har gaam pe sajde ki tamanna hai jabeeN ko

ye kis ka dar e naaz hai ye kis ki gali hai
AastaaN hai ye kis shaah e zeeshaan marhaba marhaba
AastaaN hai ye kis shaah e zeeshaan marhaba marhaba
AastaaN hai ye kis ka
aastaaN hai ye kis ka
Sajde jahaN pe karte haiN aa ke farishtay
//aastaaN hai ye kis ka
Malaaiik sar jhukhaate haiN wali aankhaiN bichaataiN haiN dekho
//aastaaN hai ye kis ka
AastaaN hai ye kis shaah e zeeshaan marhaba marhaba
AastaaN hai ye kis shaah e zeeshaan marhaba marhaba
Ni baarghaah e hazrat e gaus as saqalain ast

AastaaN hai ye kis shaah e zeeshaan marhaba marhaba
AastaaN hai ye kis shaah e zeeshaan marhaba marhaba
Ni baarghaah e hazrat e gaus as saqalain ast
naqade kamare haidar o nasl e hasanain ast
madarsh hussainii nasabast o pidaray oo
zaulaad e hussan yani kareem ul abawanain ast //AastaaN hai ye kis shaah e zeeshaan marhaba marhaba
Jhukhee behr e ibadat jab shah e baghdad ke dar par
ajab tauqeer e sajdah apni paishaani mai dekhee hai
AastaaN hai ye kis shaah e zeeshaan marhaba marhaba
AastaaN hai ye kis shaah e zeeshaan marhaba marhaba
-Qalb haibat se larzaaN hai insaan ka marhaba marhaba
hai asar bazm par kis ke faizaan ka marhaba marhaba
ghar basaade meri chashm e weeraaN ka marhaba marhaba
chand nikla hasan ke shabistaan ka marhaba marhaba-
//chand nikla wo nikla
//chand nikla wo nikla
marhaba marhaba wo wo chand nikla wo nikla
-Sar ki zeenat amama hai irfaan ka marhaba marhaba
jubba tan par Muhammed ke ihsaan ka marhaba marhaba
rang aankhoN mai Zahra kai faizaan ka marhaba marhaba
Roop chehre pe Ayaat e Quraan ka marhaba marhaba
(Chants)
Roop chehre pe Ayaat e Quraan ka marhaba marhaba
Roop chehre pe Ayaat e Quraan ka marhaba marhaba
Saj ke betha hai naushaah Jeelaan ka marhaba marhaba-
Nagar nagar mai karo manaadi
hai shaah e JeelaaN ki aaj shaadi
//Saj ke betha hai naushaah Jeelaan ka
Sare walioN ko mehmaaN banayia gaya
Gaus e Azam ko doolha banayia gaya
//wo wo Saj ke betha hai naushaah Jeelaan ka marhaba marhaba (Chants)
//Saj ke betha hai naushaah Jeelaan ka marhaba marhaba
MeeraN ke ghar hai shaadi aaye wali nabi sab
Taiba se Mustafa bhi tashreef laa rahaiN haiN
//Saj ke betha hai naushaah Jeelaan ka marhaba marhaba
NazroN ko shauq e deed hai mangatoN mai jashan e eid hai
//Saj ke betha hai naushaah Jeelaan ka marhaba marhaba
-Bazm e qaun o maqaaN ko sajaaya gaya aaj Salleh Ala
saaibaaN rehmatoN ka lagaaya gaya aaj Salleh Ala
Ambiya Auliya ko bulaaya gaya aaj Aalleh Ala
Ibn e Zahra ko doolha banaya gaya aaj Salleh Ala
Ibn e Zahra ko doolha banaya gaya aaj Salleh Ala
Ibn e Zahra ko doolha banaya gaya aaj Salleh Ala
Ibn e Zahra ko doolha banaya gaya aaj Salleh Ala
Urs hai aaj mehboob e Subhaan ka marhaba marhaba-
Aao deewano muraadaiN apni apni maang lo
//Urs hai aaj mehboob e Subhaan ka marhaba marhaba
JhooliaN har sawali ki bhar jaayaiN giiN
dar sakhi ka khula hai ataa ke liye
//Urs hai aaj mehboob e Subhaan ka marhaba marhaba
(Nusrat Raag # 1)
//Urs hai aaj mehboob e Subhaan ka marhaba marhaba
-Aasnaa manzalat kis ka aiwaan hai wah kiya shaan hai
aaj khalq e Khuda kis ki mehman hai wah kiya shaan hai
La Takhaf kis ka mashhoor farman hai wah kiya shaan hai
bil yaqeeN wo shehenshaah e Jeelaan hai wah kiya shaan hai
haq diya jis ko qudrat ne ailaan ka marhaba marhaba
haq diya jis ko qudrat ne ailaan ka marhaba marhaba
(Chants)
haq diya jis ko qudrat ne ailaan ka marhaba marhaba
haq diya jis ko qudrat ne ailaan ka marhaba marhaba-
-Har taraf aaj rehmat ki barsaat hai wah kiya baat hai
aaj khulne pe qufl e muhimmaat hai wah kiya baat hai
chaar soo jalwa aaraaiyai zaat hai wah kiya baat hai
koi bharne pe kashkol e haajaat hai wah kiya baat hai
aao faqeero aao jholee ko apni bhar lo
//koi bharne pe kashkole haajaat hai wah kiya baat hai
Ye waqt hai karam ka sarkar karam farmataiN haiN
//Aao koi bharne pe kashkole haajaat hai wah kiya baat hai
Jaagne ko muqaddar hai insaan ka marhaba marhaba
Jaagne ko muqaddar hai insaan ka marhaba marhaba-
(Nusrat Raag # 2)
Jaagne ko muqaddar hai insaan ka marhaba marhaba
Jaagne ko muqaddar hai insaan ka marhaba marhaba
-Gulshan e Mustafa ki phaban aur hai ye chaman aur hai
Shah e Abraar ki anjuman aur hai ye chaman aur hai
rooaay gul dasta e panjtan aur hai ye chaman aur hai
shaan e Aal e Hussain o Hasan aur hai ye chaman aur hai
shaan e Aal e Hussain o Hasan aur hai ye chaman aur hai
shaan e Aal e Hussain o Hasan aur hai ye chaman aur hai
Sarmadi rang hai is gulistaan ka marhaba marhaba-
-Do larre ki zameen kitni masood hai khita e jood hai
Pir Mehr e Ali jis mai maujood hai khita e jood hai
//Pir mehr e ali pir mehr e ali
//Pir mehr e ali pir mehr e ali
Koi kisi ka koi kisi ka mere
//Pir mehr e ali pir mehr e ali
Majnoo ko mili Laila, Yusuf ko Zulaikha aur mujh ko mere
//Pir mehr e ali pir mehr e ali
Khiyaal apna apna pasand apni apni mere to haiN
//Pir mehr e ali pir mehr e ali
Pir Mehr e Ali jis mai maujood hai khita e jood hai
-Do larre ki zameen kitni masood hai khita e jood hai
Pir Mehr e Ali jis mai maujood hai khita e jood hai
kiya haseen manzar e shaan e mahmood hai khita e jood hai
har aayaan ghamghosh e mahmood hai khita e jood hai
Auj paya hai phir cheez o qaiwaan ka marhaba marhaba-
-Sham e tauheed dil mai jala kar piyo dil laga kar piyo
shah e batha ki khairaat paa kar piyo dil laga kar piyo
shaykh ke aastane pe aa kar piyo dil laga kar piyo
aankh mehr e ali se mila kar piyo dil laga kar piyo
Khud pilane pe saaqi hai Jeelan ka marhaba marhaba
Khud pilane pe saaqi hai Jeelan ka marhaba marhaba-
-Hai adab husan ka baank pan saamne ik chaman samne
ahl e tatheer haiN khaima zan saamne panj tan saamne
hai ye rooaay hasan ki phaban saamne ya hasan saamne
jalwa farmaaN hai Gaus e Zaman saamne zofigan saamne
Daikhiye kiya bane chashm e hairaan ka marhaba marhaba-
-Shah e Jeelaan ki chaukat salamat rahe ta qiyamat rahe
naqsh e paa ka chaman pur karamat rahe ta qiyamat rahe
khalate ijtebaaze be qaamat rahe ta qiyamat rahe
sar pe walioN ka taaj e imamat rahe ta qiyamat rahe
Silsila Gaus e Azam ke faizaan ka marhaba marhaba
-Mazhar e zaat e Rabb e qadeer aap haiN dastgeer aap haiN
kaarwaan e karam ke ameer aap haiN dastgeer aap haiN
shah e baghdad peeraan e peer aap haiN dastgeer aap haiN
Dastgeera kar mehr tu mehr ali te tere baaj hai kaun Allah raasiaa daa
//shah e baghdad peeraan e peer aap haiN
Mehr hai saari Ali di shak na reh gaya ik tarah
karam kita Gaus e Azam sadaaN sardiaN waliaN
//shah e baghdad peeraan e peer aap haiN
shah e baghdad peeraan e peer aap haiN dastgeer aap haiN
shah e baghdad peeraan e peer aap haiN dastgeer aap haiN
kis naseer e hali ke naseer aap haiN dastgeer aap haiN
koi hamsar nahin aap ki shaan ka marhaba marhaba
koi hamsar nahin aap ki shaan ka marhaba marhaba-
AastaaN hai ye kis shaah e zeeshaan marhaba marhaba
AastaaN hai ye kis shaah e zeeshaan marhaba marhaba
(Qawwali ends)

Like us on Facebook.....
-> Loading Time :0.0132 sec