Tum to Thehre Pardesi Lyrics & Tabs by The Boss

Tum to Thehre Pardesi

guitar chords lyrics

The Boss

Album : Xtacy 3 hardcore PlayStop

Tum toh thehre pardesi - 2 saath kya nibahaaoge
(Tum toh thehre pardesi saath kya nibhaaoge) - 2
Tum toh thehre pardesi saath kya nibahaaoge

Tum toh thehre pardesi saath kya nibhaaoge
Tum toh thehre pardesi saath kya nibhaaoge
Subaha pehli - 3 gaadi se ghar ko laut jaaoge
Subaha pehli gaadi se ghar ko laut jaaoge
Tum toh thehre pardesi saath kya nibhaaoge
Jab tumhein akele mein meri yaad aayegi
Jab tumhein akele mein meri yaad aayegi
Khichein khichein hue rahetin ho kyon
Khichein khichein hue rahetin ho dhyan kiska hain
Zara batao toh yeh imtihaan kiska hain
Hamein bhula do magar yeh to yaad hi hoga - 2
Nayi sadak pe purana makaan kiska hain

Zara batao toh yeh imtihaan kiska hain
Hamein bhula do magar yeh to yaad hi hoga - 2
Nayi sadak pe purana makaan kiska hain
Jab tumhein akele mein meri yaad aayegi
Jab tumhein akele mein meri yaad aayegi
Aasuon ki - 3 baarish mein tum bhi bheeg jaaoge
Aasuon ki baarish mein tum bhi bheeg jaaoge
Tum toh thehre pardesi saath kya nibahaaoge
Gam ke dhup mein dil ki hasratein na jal jaaye
Gam ke dhup mein dil ki hasratein na jal jaaye
Tujhko yeh tujhko dekhenge sitaarein toh ziya maangenge
Tujhko dekhenge sitaarein toh ziya maangenge
Aur pyaase teri julfo se ghata maangenge
Apne kaandhe se duppata na sarakne dena
Warna budhe bhi jawani ki duwa maangenge
Imaan se
Gam ke dhup mein dil ki hasratein na jal jaaye
Gam ke dhup mein dil ki hasratein na jal jaaye
Kesuwo ke - 3 ke saaye mein kab hamein sulaaoge
Kesuwo ke ke saaye mein kab hamein sulaaoge
Tum toh thehre pardesi saath kya nibahaaoge
Mujhko katla kar daalo shauk se magar socho
Mujhko katla kar daalo shauk se magar socho
Is shehare namuraad ki izzat karega kaun
Arey ham hi chale gaye toh mohabbat karega kaun
Is ghar ki dekhbhal ko viraaniyan to hu - 2
Jaale hata diye toh hifazat karega kaun
Mujhko katla kar daalo shauk se magar socho
Mujhko katla kar daalo shauk se magar socho
Mere baad - 3 tum kispar yeh bijliya giraaoge
Mere baad tum kispar yeh bijliya giraaoge
Tum toh thehre pardesi saath kya nibahaaoge
Yu toh zindagi apni maikade mein gujri hain
Yu toh zindagi apni maikade mein gujri hain
Ashko mein husno rang samota raha hu main - 2
Aanchal kisika thaam ke rota raha hu main
Nikhra hain jaake ab kahi chehra shahur ka - 2
Barso ise sharab se dhota raha hu main
Yu toh zindagi apni maikade mein gujri hain
Behki hui bahaar ne peena sikha diya
Badmast bargo baar ne peena sikha diya
Peeta hu is garaj se ke jeena hain chaar din - 2
Marne ke intejaar ne peena sikha diya
Yu toh zindagi apni maikade mein gujri hain
Yu toh zindagi apni maikade mein gujri hain
In nashili - 3 aankhon se kab hamein peelaaoge
In nashili aankhon se kab hamein peelaaoge
Tum toh thehre pardesi saath kya nibahaaoge
Kya karoge tum aakhir kabra par meri aakar
Kya karoge tum aakhir kabra par meri aakar
Kya karoge tum aakhir kabra par meri aakar
Kyon ke jab tumse itefaakan jab tumse itefaakan
Meri nazar mili thi
Ab yaad aa raha hain
Shayad woh janwary thi
Tum yu mili dubara
Phir maahe farwary mein
Jaise ke hamsafar ho
Tum raahein zindagi mein
Kitna hasi zamana
Aaya tha march lekar
Raahein wafa pe thi tum
Waadon ki torch lekar
Baandha jo ahde ulfat
Aprail chal raha tha
Duniya badal rahi thi
Mausam badal raha tha
Lekin mayi jab aayi
Jalne laga zamana
Har shaks ki zabaan par
Tha bas yahi fasana
Duniya ke darr se tumne
Badli thi jab nigaahein
Tha june ka mahina
Lab pe thi garm aahein
Jully mein jo tumne
Ki baatchit kutch kam
Thein aasman pe baadal
Aur meri aankhein purnam
Mahe agast mein jab
Barsaat hoo rahi thi
Bas aasuon ki baarish
Din raat ho rahi thi
Kutch yaad aa rahi hain
Woh maah tha sitambar
Bheja th

Like us on Facebook.....
-> Loading Time :0.0065 sec