Hum Dekhen Ge Lyrics & Tabs by Iqbal Bano

Hum Dekhen Ge

guitar chords lyrics

Iqbal Bano

Album : Iqbal Bano: Meri Pasand Vol 1 pakistani PlayStop

Laazim hai ki hum bhi dekhenge
Woh din jiskaa ke waada hai,
Jo lau-e-azl mein likha hai

Jab zulm-o-sitam ke koh-e-garaan
Rooi ki tarah udd jaayenge,
Hum mehkoomon ke paaon tale
jab dharti dhad dhad dhadkegi,
Aur ahl-e-hukam ke sar oopar
Jab bijli kad kad kadkegi,
Jab arz-e-khudaa ke kaabe se
Sab but uthwaaey jaayenge,
Hum ahl-e-safaa mardood-e-haram
Masnad pe bithaaey jaayenge.
Sab taaj uchaaley jaayenge.
Sab takht giraaey jayyenge.

Masnad pe bithaaey jaayenge.
Sab taaj uchaaley jaayenge.
Sab takht giraaey jayyenge.
Bas naam rahega Allah kaa,
Jo ghaayab bhi hai, haazir bhi,
Jo manzar bhi hai, naazir bhi.
Utthegaa ‘An-al-haq' kaa naara
Jo main bhi hoon, aur tum bhi ho,
Aur raaj karegi Khalq-e-Khuda
Jo mai bhi hoon, aur tum bhi ho.

More tracks of "Iqbal Bano"

Like us on Facebook.....
-> Loading Time :0.0081 sec