Dil Darbadar Lyrics & Tabs by Ankit Tiwari

Dil Darbadar

guitar chords lyrics

Ankit Tiwari

Album : PK (Original Motion Picture Soundtrack) hindi PlayStop

Hai maun mein doobi duniya
Tera qissa kaun sunaaye
Jo kahe, tujhe na jaane

Jo jaane, keh na paaye
Khwaabon ka musafir namazi na kaafir
Saaiyaan ye bata de kahan hu main aakhir
Ye kaisi hai teri aankh micholi
Mujhe ghar le ja humjoli
Dil darbadar mera dil darbadar
Dil darbadar mera dil darbadar
Tu mera hi saaya
Main teri hi chaaya
Main tere bina zaaya
Ragon mein bahaa tu
Nazar mein rahaa tu

Main tere bina zaaya
Ragon mein bahaa tu
Nazar mein rahaa tu
Magar na nazar aaya
Tujh se hi chal ke main guzra
Tujhpe hi aa thehra re
Tu mujhko main tujhko
Jaata kya hai mera
Ye kaisi hai teri aankh micholi
Mujhe ghar le ja humjoli
Dil darbadar mera dil darbadar
Dil darbadar mera dil darbadar
Main shaakhon se toota
Hawaoon se rootha
Udaa ja raha hoon kahaan
Aa jaaun kahin main
Khilunga wahin mein
Mile mujhko tu jahaan
Aa mil ja mujhse main kabse dekhun teri raahein
Beeta ek arsa main tarsa ab khol de baahein
Ye kaisi hai teri aankh micholi
Mujhe ghar le ja humjoli
Dil darbadar mera dil darbadar
Dil darbadar mera dil darbadar
Dil darbadar hai.
Darbadar. darbadar dil hai
Hai dil darbadar
Dil darbadar hai...

Like us on Facebook.....
-> Loading Time :0.0074 sec