Humein To Loot Liya Lyrics & Tabs by Sabri Brothers

Humein To Loot Liya

guitar chords lyrics

Sabri Brothers

Album : Coke Studio @ MTV India Season 1: Episode 7PlayStop

Hamein to loot liya mil ke husn walon ne Kaale kaale balon ne gore gore gaalon ne Nazar mein shokhiyan aur bachpana shararat mein Adaayen dekh ke hum phans gaye mohabbat mein Hum apni jaan se jaayenge jinki ulfat mein Yaqeen hai ke naa aayenge wo hi maiyat mein Khuda sawal karega agar qayamat mein To hum bhi kah denge hum lut gaye sharafat mein Hamein to loot liya mil ke husn walon ne Kaale kaale balon ne gore gore gaalon ne Wahin wahin pe qayamat ho wo jidhar jayen Jhuki jhuki hui nazron se kaam kar jayen Tadapta chor den raste mein aur guzar jayen Sitam to ye hai ki dil le len aur mukar jayen Samajh mein kuch nahi aata ki hum kidhar jayen Yahi iraada hai ye kah ke hum to mar jayen Hamein to loot liya mil ke husn walon ne Kaale kaale balon ne gore gore gaalon ne Wafa ke naam pe maara hai bewafaon ne Ki dam bhi humko naa lene diya jafaon ne Khuda bhula diya in husn ke khudaaon ne Mita ke chor diya ishq ki khataaon ne Udaaya hosh kabhi zulf ki hawaaon ne Khyal-e-naaz ne loota kabhi adaaon ne Hamen to loot liya mil ke husn walon ne Kaale kaale balon ne gore gore gaalon ne Hazaaron lut gaye nazron ke ik ishaare par Hazaaron bah gaye toofaan banke dhaare par Naa inke waadon kaa kuchh theek hai na baaton ka Fasana hota hai inka hazar raaton ka Bahut haseen hai waise to bhole pan inka Bhara hua hai magar zahar se badan inka Ye jisko kaat len paani wo pee nahi sakta Dawa to kya hai dua se bhi jee nahi sakta Inhi ke maare hue ham bhi hain zamane mein Hai chaar lafz muhabbat ke is fasaane mein Hamein to loot liya mil ke husn walon ne Kaale kaale balon ne gore gore gaalon ne Zamana inko samajhta hai nek aur maasoom Magar ye kaisen hain kya hain kisi ko kya maaloom Inhen naa teer na talwar ki zaroorat hai Shikar karne ko kaafi nigahen ulfat hai Haseen chaal se dil paayemaal karten hain Nazar se karten hain baaten kamal karten hain Harek baat mein matlab hazaar hote hain Ye seedhe saade bade hoshiyar hote hain Khuda bachaaye haseenon ki tez chaalon se Pade kisi ka bhi paala na husn waalon se Hamein to loot liya mil ke husn walon ne Kaale kaale balon ne gore gore gaalon ne Husn waalon mein muhabbat ki kami hoti hai Chaahne waalon ki taqdeer buri hoti hai Unki baton mein banawat hi banawat dekhi Sharm aankhon mein nigaahon mein lagawat dekhi Aag pahle to muhabbat ki laga dete hain Apne rukhsaar ka deewana bana dete hain Dosti karke phir anjaan nazar aate hain Sach to ye hai ki beimaan nazar aate hain Maut se kam nahi duniya mein muhabbat inki Zindigi hoti hai barbaad badaulat inki Din bahaaron mein guzarta hai magar mar mar ke Lut gaye ham to haseenon pe bharosa karke Hamein to loot liya mil ke husn walon ne Kaale kaale balon ne gore gore gaalon ne


Like us on Facebook.....
-> Loading Time :0.0048 sec