Awargi Lyrics & Tabs by Ghulam Ali

Awargi

guitar chords lyrics

Ghulam Ali

Album : Best Of Ghulam Ali ghazal PlayStop

ye dil ye pagal dil mera kyon bujh gaya aawargi
is dasht mein ik shahar tha vo kya hua aawargi
kal shab mujhe be-shakl ki aawaaz ne chaunka diya

main ne kaha tu kaun hai usne kahaa aawargi
yeh dard ki tanhhaiyan yeh dasht ka veran safar
hum log to uqtaa gaye apni suna aawargi
loagon bhala us shehar kaise jeyain hum
jahan ho jurm tanha sochna lekin saza awargi
ik ajnabi jhonke ne jab pucha mere gam ka sabab
sahara ki bheegi rait par main ne likha aawargi
kal ratt tanha chand ko dekha tha main ne khawab main
mohsin mujhay rass aye gi shayad sada aawargi


Like us on Facebook.....
-> Loading Time :0.0147 sec