Mausam Hai Ashiqana Lyrics & Tabs by Lata Mangeshkar

Mausam Hai Ashiqana

guitar chords lyrics

Lata Mangeshkar

Album : The Golden Collection - Lata Mangeshkar, Vol. 3PlayStop

Mausam hain aashikaanaa
aye dil kahin se un ko aise men dhoondh laana
Kehana ke rrut jawaan hai, aur ham taras rahe hain

kaali ghata ke saaye, birahan ko das rahe hain
dar hain na maar daale, saawan ka kya thhikaana
sawaan ka kya thhikaana
mausam hai.
Sooraj kahin bhi jaaye, tum par na dhup aaye
tum ko pukaarate hai, in gesooon ke saaye
aa jaao main banaa doo, palakon ka shaamiyaana
palakon ka shaamiyaana
mousam hai
Phirate hain ham akele, baaho men koi lele
aakhir koi kahan tak, tanahaeeyon se khele
din ho gaye hain zaalim, raate hain qatilaana

Phirate hain ham akele, baaho men koi lele
aakhir koi kahan tak, tanahaeeyon se khele
din ho gaye hain zaalim, raate hain qatilaana
raate hain qaatilaana
mousam hai
Ye raat ye khaamoshee, ye khwaab se nazaare
juganoo hain yaa zameen par, utare huye hain taare
bekhwaab meri aankhe, madahosh hain zamaana
madahosh hain zamaana
mousam hai

Like us on Facebook.....
-> Loading Time :0.0194 sec