Humain Itna Pyaar Lyrics & Tabs by Jal

Humain Itna Pyaar

guitar chords lyrics

Jal

Album : BoondhPlayStop

Hamein itna pyaar na karo ke hum mar jaayein
Hamein itna tanha na karo ke ji na paayein
Koi dil ka qaraar jaane na

Koi mann ki yeh baat bataaye na
Koi aankhon hi aankhon mein keh de yeh baat
Ho ho
Chal chalein uss paar, jahaan koi na ho
Sab khushiyaan hon paas, sitam na ho
Aur sitaaron se karte rahein hum baat.
Kya yehi hai khataa pyaar maine kiya
Ab yun na sataa o mere piya
Tu hi mera dildaar tu dil ka qaraar
Nahin iss baat se mujhe koi inkaar
Kabhi kabhi tum yaad aatey ho toh dil bhar aaye
Yeh kaisa hai khumaar jo kum na ho aur barhta jaaye

Nahin iss baat se mujhe koi inkaar
Kabhi kabhi tum yaad aatey ho toh dil bhar aaye
Yeh kaisa hai khumaar jo kum na ho aur barhta jaaye
Hooo ho……
Dekha hai har mausam teri aankhon mein
Beeta hai har lamha teri saanson mein
Yeh saansein toh teri amaanat hain
Ho ho
Kuchh ajab hai yeh haal mere seene mein
Haan par sur hai aur taal mere jeevan mein
Bas issi jeevan se hai mujhe thoda pyaar
Teri aahat hai sarsaraahat hai
Kucch aur nahi yeh chaahat hai
Nainon se nainon ko tak ke phir
Tumhein aankhein churaane ki aadat hai
Hamein itna pyaar (itna pyaaaaar) na karo ke hum mar jaayein
ke hum mar jaayein
Hamein itna tanha na karo ke ji na paayein (ke ji na paayein)
hooo hooooooo
Hamein itna pyaar (itna pyaar) na karo ke hum mar jaayein
Ke hum mar jaayein

Like us on Facebook.....
-> Loading Time :0.0087 sec