Ek Pyar ka Naghma hai Lyrics & Tabs by UMI 10

Ek Pyar ka Naghma hai

guitar chords lyrics

UMI 10

Album : Volume 1PlayStop

Ek pyaar kaa naghamaa hai, maujon ki ravaani hai
Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai... (2)
Kuchh paakar khonaa hai, kuchh khokar paanaa hai

Jeevan ka matalab to, aanaa aur jaanaa hai
Do pal ke jeevan se, ek umr churaani hai
Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai
Ek pyaar ka naghamaa hai
Tu dhaar hai nadiyaa ki, main teraa kinaaraa hoon
Tu meraa sahaaraa hai, main teraa sahaaraa hoon
Aankhon men samandar hai, aashaaon ka paani hai
Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai
Ek pyaar kaa naghamaa hai
Toofaan to aanaa hai, aakar chale jaanaa hai
Baadal hai ye kuchh pal kaa, chhaakar dhal jaanaa hai
Parachhaainyaan rah jaatin, rah jaati nishaani hai

Like us on Facebook.....
-> Loading Time :0.0046 sec