Suntey hi rehtey hain Lyrics & Tabs by Lucky Ali

Suntey hi rehtey hain

guitar chords lyrics

Lucky Ali

Album : Get Lucky hindi PlayStop

Koi aa raha, koi jaa raha
Koi jaa raha, koi aa raha
Suntey hi rehtey hain hum to zamaane

Aisa koi vaisa kahin ja raha hain
Kal jo saath the, pal mein woh nahin hai
Miltey hi rehtey hain hum to har manzil mein
Basti nayi hasti se jahan jaa rahe hai
Kitney tan ke kaise ban ke
Kaisa yeh safar dil bada besabar
Yeh na jaane yeh na maane yeh hai bekhabar, ki mein to
Tanhayi mein tanha rehke pyaar samjha hoon
Door rehke paas rehna yaar samjha hoon
Khoye hain sab yahan, yeh akela jahan
Jitna hai utne mein mein to khush rehta hoon
Paana aur khona jaanta nahin

Khoye hain sab yahan, yeh akela jahan
Jitna hai utne mein mein to khush rehta hoon
Paana aur khona jaanta nahin
Paake kya kare, khoke sab miley
Gir ke sambhalta hoon phir bhi kuch nahin karta hoon
Deri aur doori main, jaanta nahin
Deri hi sahi, doori to nahin
Jaisa bhi safar dil bada besabar
Yeh na jaane yeh na maane yeh hai bekhabar, ki mein to
Doston ke saath bhi anjaan rehta hoon
Raaston mein har kahin pehchaan rakhta hoon
Hai yahn se wahan, yeh kisi ka jahan
Sun ley, dil ki sadaa, sun ley, dil ki sadaa
Koi aa raha, koi jaa raha
Koi aa raha, koi jaa raha
Aksar yeh dekha hai yun koi tehertha hai
Jaise ruka koi haar ke kahin
Behtar woh raasta hai jisme dil basta hai
Aise kinarey bhi miley hai yahan

Like us on Facebook.....
-> Loading Time :0.0082 sec