Pag Ghungroo Bandh -- Namak Halal Lyrics & Tabs by Kishore Kumar

Pag Ghungroo Bandh -- Namak Halal

guitar chords lyrics

Kishore Kumar

Album : Dekha Na Haye Re ... - Masti - Vol.2 hindi PlayStop

Uhh Hmm Hm Hey He Hey
Buzurgon Ne
Buzurgon Ne Farmaya Ke Pairon Pe Apne

Khade Hoke Dikhlao
Phir Yeh Zamana Tumhara Hai
Zamane Ke Sur Taal Ke Saath
Chalte Chale Jaao
Phir Har Tarana Tumhara
Fasana Tumhara Hai
Arre To Lo Bhaiyya Hum
Apne Pairon Ke Upar
Khade Ho Gaye
Aur Mila Lee Hai Taal
Daba Legi Daanto Taley Ungliyaan
Liya�Yeh Jahaan Dekhkar

Aur Mila Lee Hai Taal
Daba Legi Daanto Taley Ungliyaan
Liya�Yeh Jahaan Dekhkar
Dekhkar Apni Chaal
Wah-Wah
Dhanyawaad
Hmm
Ke Pag Ghungroo
Ke Pag Ghungroo Baandh Meera Naachi Thi (2)
Aur Hum Naache Bin Ghungroo Ke
Ke Pag Ghungroo Baandh Meera Naachi Thi
Wo Teer Bhala Kis Kaam Ka Hai Jo
Teer Nishane Se Chukey Chukey Chukey Re
Ke Pag Ghungroo
Sa Sa Sa Ga Ga Re Re Sa Ni Ni Ni Sa Sa Sa
Ga Re Ga Pa Pa Ma Ma Dha Re Re Re Ga Ga Ga
Pa Ni Sa Pa Ni Sa Ma Pa Ni Ma Pa Ni
Re Re Re Re Re Re Re Re Ga Re Ga Re Ga Re Ga
Pa Pa Pa Pa Pa Ma Ga Re Dha Ni Sa Pa Sa Pa Ni Sa Sa
Pa Ni Sa Sa Pa Ni Sa Sa
Pa Ma Pa Ma Sa Re Sa Ga Re Ma Ga Re
Pa Ma Ga Re Sa Ni Dha Pa Sa (3)
Aap Andar Se Kuch Aur Baahar Se Kuch Aur Nazar Aate Hain
Bakhuda Shakl Se To Chor Nazar Aate Hain
Umr Guzri Hai Saari Chori Mein
Saare Sukh Chain Bandh Jurm Ki Tijori Mein
Aap Ka To Lagta Hain Bas Yehi Sapna
Raam Ram Japna Paraya Maal Apna Watan Ka Khaya Namak To Namak Halaal Bano
Farz Imaan Ki Zinda Yahan Misaal Bano
Paraya Dhan Parayi Naar Pe Nazar Mat Daalo
Buri Aadat Hain Yeh Aadat Abhi Badal Daalo
Kyonke
Yeh Aadat To Wo Aag Hai Jo
Ek Din Apna Ghar Phunke Phunke Phunke Re
Ke Pag Ghungroo
Mausam E Ishq Main Machle Huye Armaan Hai Hum
Dil Ko Lagta Hain Ki Do Jism Ek Jaan Hai Hum
Aisa Lagta Hai To Lagne Mein Kuch Burayi Nahin
Dil Yeh Kehta Hai Aap Apni Hai Parayi Nahin
Sangey Marmar Ke Haay
Koi Murat Ho Tum
Badi Dilkash Pari
Khubsurat Ho Tum
Dil Dil Se Milne Ta Koi Mahurat Ho
Pyaase Dilon Ki Zaroorat Ho Tum
Dil Cheer Ke Dikhla Doon Main
Dil Mein Ye Hi Surat Haseen
Kya Aapko Lagta Nahin
Hum Hain Miey Pehle Kahin
Kya Des Hai Kya Jaat Hai
Kya Umr Hai Kya Naam Hai
Aji Chhodiyen Inn Baaton Se
Humko Bhala Kya Kam Hai
Aji Suniye To
Hum Aap Miley To Phir Ho Shuru
Afsane Laila Majnu
Laila Majnu Ke
Ke Pag Ghungroo
Ke Pag Ghungroo Baandh Meera Naachi Thi (2)
Aur Hum Naache Bin Ghungroo Ke
Ke Pag Ghungroo Baandh Meera Naachi Thi
Wo Teer Bhala Kis Kaam Ka Hai Jo
Teer Nishane Se Chukey Chukey Chukey Re
Ke Pag Ghungroo

Like us on Facebook.....
-> Loading Time :0.0182 sec