Main Nashe Mein Hoon Lyrics & Tabs by Mukesh

Main Nashe Mein Hoon

guitar chords lyrics

Mukesh

Album : Legends - Mukesh - Vol 2 hindi PlayStop

zaahid sharaab pine de masjid me baithkar
ya vo jagah bata de jahaan par khuda na ho
mujh ko yaaro maaf karna mai nashe me hu

mujh ko yaaro maaf karna mai nashe me hu
ab to mumkin hai bahakna mai nashe me hu
mujh ko yaaro maaf karna mai nashe me hu
kal ki yaade mit rahi hai dard bhi hai kam
ab zara aaram se aa jaa raha hai dam
are aa jaa raha hai dam
kam hai ab dil ka tadapna mai nashe me hu
ab to mumkin hai bahakna mai nashe me hu
mujh ko yaaro maaf karna mai nashe me hu
dhal chuki hai raat ab to uth gayi mahfil
mai kaha jaau nahi koi meri manzil
nahi koi meri manzil

dhal chuki hai raat ab to uth gayi mahfil
mai kaha jaau nahi koi meri manzil
nahi koi meri manzil
do kadam mushqil hai chalna mai nashe me hu
mujh ko yaaro maaf karna mai nashe me hu
hai zara si baat aur chhalke hai pyaale
par na jaane kya kahege ye jahaan vaale
kahege ye jahaan vaale
tum bas itna yaad rakhna mai nashe me hu
ab to mumkin hai bahakna mai nashe me hu
mujh ko yaaro maaf karna mai nashe me hu

Like us on Facebook.....
-> Loading Time :0.0080 sec