Jai Jai Hanuman Gunsai Lyrics & Tabs by Hariharan

Jai Jai Hanuman Gunsai

guitar chords lyrics

Hariharan

Album : Shree Hanuman Chalisa hariharan PlayStop

Dehi Haro Hanuman Mahaprabhu Jo Kachu Sankat Hoye Hamaro
Kaun So Sankat Mor Garib Ko, Jo Tumso Nahi Jat Hai Taro
Jai Jai Jai Hanuman Gosai

Kripa Karo Maharaj
Jai Jai Jai Hanuman Gosai
Kripa Karo Maharaj - 4
Tan Mein Tumhare Shakti Viraje,
Man Bhakti Se Bhina
Jo Jan Tumhari Sharan Me Aaye,
Dukh Darad Harleena
Hanumat, Dukh Darad Harleena,
Mahavir Prabhu Hum Dukhiyana Ke,
Tum Ho Garib Nivaz, Hanumat
Jai Jai Jai Hanuman Gosai
Kripa Karo Maharaj - 4

Tum Ho Garib Nivaz, Hanumat
Jai Jai Jai Hanuman Gosai
Kripa Karo Maharaj - 4
Rama Lakhana Vaidehi Tum Par Sada Rahe Harshaye
Hriday Cheerke Saare Jag Ko
Hriday Cheerke Saare Jag Ko Rama Siya Darshaye
Do Kar Jodh Araj, Hanumanta, Kahiyo Prabhu se Aaj, Hanumat
Jai Jai Jai Hanuman Gosai
Kripa Karo Maharaj - 4
Ram Bhajan Ke Tum Rasiya
Hanumant Mangal Kari - 2
Har Din Vandan Karte Tera Duniya Ke Nar Naari
Hanumat, Duniya Ke Nar Naari
Ram Naam Jap Ke Hanumanta
Bane Bhaktan Sartaaj
Hanumat, Bane Bhaktan Sartaaj
Jai Jai Jai Hanuman Gosai
Kripa Karo Maharaj - 4

Like us on Facebook.....
-> Loading Time :0.0080 sec