Ek Pyar Ka Nagma Hai (part 1) Lyrics & Tabs by Mukesh

Ek Pyar Ka Nagma Hai (part 1)

guitar chords lyrics

Mukesh

Album : Shor/Roti Kapda Aur Makaan hindi PlayStop

Ek pyaar kaa naghamaa hai, maujon ki ravaani hai
Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai...
Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai...

Kuchh paakar khonaa hai, kuchh khokar paanaa hai
Jeevan ka matalab to, aanaa aur jaanaa hai
Do pal ke jeevan se, ek umr churaani hai
Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai
Ek pyaar ka naghamaa hai
Tu dhaar hai nadiyaa ki, main teraa kinaaraa hoon
Tu meraa sahaaraa hai, main teraa sahaaraa hoon
Aankhon men samandar hai, aashaaon ka paani hai
Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai
Ek pyaar kaa naghamaa hai
Toofaan to aanaa hai, aakar chale jaanaa hai
Baadal hai ye kuchh pal kaa, chhaakar dhal jaanaa hai

Ek pyaar kaa naghamaa hai
Toofaan to aanaa hai, aakar chale jaanaa hai
Baadal hai ye kuchh pal kaa, chhaakar dhal jaanaa hai
Parachhaainyaan rah jaatin, rah jaati nishaani hai
Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai
Ek pyaar kaa naghamaa hai

Like us on Facebook.....
-> Loading Time :0.0135 sec