Bharat Humko Jaan Se Pyara Hai Lyrics & Tabs by Hariharan

Bharat Humko Jaan Se Pyara Hai

guitar chords lyrics

Hariharan

Album : Roja hariharan PlayStop

Bhaarat humko jaan se pyaara hai
sabse nyaara gulistaan hamara hai
Bhaarat humko jaan se pyaara hai

sabse nyaara gulistaan hamara hai
Sadiyon se bhaarat bhoomi duniya ki shaan hai
Bhaarat maa ki raksha mein jeewan kurbaan hai
Bhaarat humko jaan se pyaara hai
sabse nyaara gulistaan hamara hai
Ujade nahin apna chaman
Toote nahin apna vatan
gumrah na karde koi
barbad na karde koi
Mandir yahan
Masjid yahan
Hindu yahan

Mandir yahan
Masjid yahan
Hindu yahan
Muslim yahan
Milke rahein hum pyaar se
Jaago
Hindustani naam hamara hai
Sabse pyaara desh hamara hai
Janmbhoomi hai hamari shaan se kahenge hum
Sab hi to bhai bhai pyaar se rahenge hum
Hindustani naam hamara hai
Sabse pyaara desh hamara hai
Assam se gujarat tak
Bengal se maharashtra tak
Jaati kai hum ek hain
Bhaasha kai sur ek hai
Kashmir se madras tak
Keh do sabhi hum ek hain
Aawaaz do hum ek hain
Jaago .

Like us on Facebook.....
-> Loading Time :0.0091 sec