Apne Hoton Par Sajana Lyrics & Tabs by Jagjit Singh

Apne Hoton Par Sajana

guitar chords lyrics

Jagjit Singh

Album : Together: Ghazals Vol. 1 ghazal PlayStop

Apne hothon par sajaana chaahta hoon
aa tujhe main gun-gunaana chaahta hoon
koi aansoo tere daaman par girakar

boond ko moti banaana chaahta hoon
thak gaya main karte-karte yaad tujhko
ab tujhe main yaad aana chaahta hoon
chaa raha hai saari basti mein andhera
roshni ko ghar jalaana chaahta hoon
aakhri hichki tere zaano pe aaye
maut ko bhi shaayarana chaahta hoon

Like us on Facebook.....
-> Loading Time :0.0151 sec